Om Jai Jagdish Hare | Om Jai Jagdish Hare Aarti | Om Jai Jagdish Hare Diwali Aarti | Universal Diwali Aarti | Deepavali Aarti | Om Jai Jagdish Hare Lyrics | Om Jai Jagdish Hare Aarti Lyrics

Om jai jagdish hare, swami jai jagdish hare

Bhakt jano ke sankat, daas jano ke sankat
Kshan mein door kare, om jai jagdish hare

Jo dhyaave phal paave dukh bin se mann ka
Swami dukh bin se mann ka
Sukh sampati ghar aave - 2
Kasht mite tan ka, om jai jagdish hare

Maat pitaah tum mere
Sharan padoon main kiski
Swami sharan padoon main kiski
Tum bin aur na duja
Prabhu bin aur na duja
Aas karoon main kiski, om jai jagdish hare

Tum puran parmaatama, tum antariyaami
Swami tum antariyaami
Par brahm parmeshvar - 2
Tum sabke swami, om jai jagdish hare

Tum karuna ke saagar, tum paalan karta
Swami tum paalan karta
Main moorakh khalkaami - 2
Main sevak tum swami
Kripa karo bharta, om jai jagdish hare
Om jai jagdish hare, swami jai jagdish hare
Bhakt jano ke sankat, daas jano ke sankat
Kshan mein door kare, om jai jagdish hare

Vishay vikaar mitaao, paap haro deva
Swami paap haro deva
Shraddha bhakti badhaao
Shraddha bhakti badhaao
Santan ki seva, om jai jagdish hare

Tan mann dhan sab hai tera
Swami sab kuch hai tera
Swami sab kuch hai tera
Tera tujhko arpan, tera tujhko arpan
Kya lage mera

Om jai jagdish hare
(Om jai jagdish hare, swami jai jagdish hare
Bhakt jano ke sankat, daas jano ke sankat
Kshan mein door kare, om jai jagdish hare) - 2

  • Share/Save/Bookmark




Tags:, , , , , , , , , , , , ,

Related Post :

  • No Related Post

  • Search

  • Investment Books

  • Smart Investment